Friday, January 10, 2003

Kuch Aur Hi Hai..

Aaj bujh gaye hein ghar ghar mein diye sanskar ke,
Maa baap bhi kimat maangte hein bachon ko sambhal ke,
Sirf matlab se bante hein rishte bhi yahaan pyar ke,
Kaisi duniya hai jahaan jiya bhi jata hai doosron ko maarke.
-Saagar

Iss mausam mein apna andaz kuch aur hi hai,
Barsaat bhi hai bijliyaan bhi magar,
Pehli dhup ka maza kuch aur hi hai,
Har baar ye kehte hein pyar hai magar,
Iss baar ye nasha kuch aur hi hai,
Shabnam bhi hai, phoolon mein khushboo bhi magar,
Teri saanson ki mehek kuch aur hi hai,
Tu hasein to hasnte hein hum bhi magar,
Tere roothne ki ada kuch aur hi hai.
-Saagar

No comments: