Saturday, March 13, 2004

Tera Pyar...!

Meri har shayari par tere pyaar ki mohar lagalun,
Tere har khayaal ko mein apne dil mein basalun,
Koi pooche to kahun mein tera hi afsana,
Yunhi karte mein shayad tere dil ko apna banalun.


Pyaar karte hein tumse keh to dete hein sabhi ,
Pyaar nibhaane mein phir aati hai kyuh kamin.


Tujhe bhulaane ki koshish teri yaad dila gayi,
Dil se yun guzri ke meri neend chura gayi,
Ab to aalam ye hua hai ki "Sagar",
Dil ki har dhadkan mein bas tu sama gayi.

1 comment:

Anonymous said...

app ke sharii wah ji wah kya baat hai ji..is na to humra dil ko cho lieya ji ..write more ji..app ke shari bhot achi hai ji..
»-(¯`v´¯)-»Dil~Jaan »-(¯`v´¯)-»