Saturday, June 26, 2004

Kyun hai ?...

Dil pe ek bojh sa kyun hai,
Khush hun toh aankh nam kyun hai,
Jis mod par bhi chahun sambhalna,
Dil aur machalta kyun hai,
Kaisa hai ye chahat ka silsila,
Paakar sab kuch phir ye dil chahta kyun hai,
Aakhir kya chahti hai zindagi mujhse,
Koi baat ki kami nahin to itna gham kyun hai.

No comments: