Thursday, January 09, 2003

Ghaur Farmaye...

Iss bhid mein bhi mein tanha kyun hoon,
Pehchaani raah se bhi anjaan kyun hoon,
Kya meri nazar ka fark hai ye, doosron se
Nahin to khud se pareshan kyun hoon.
- Saagar

Meri aankh se aansoo nahin tere diye hue zakhm beh rahe hein,
Woh gham jo gairon se mila karte the aaj apne de rahe hein.
- Saagar

Itna to mujhe pata hai ki kitna pyaar karte ho,
Jab bhi aaina dekhte ho mujhe yaad karte ho.
-Saagar

Dil ke raaston aur soch ki galiyon se guzarte dekha,
Pyaar aur jazbaaton ko yahaan kuchalte dekha,
Zindagi ko mohabbat ka naam kaise de jahaan ,
Har shakhs ko hamne zindagi mein badalte dekha.
Saagar - on 27th Nov, 02 at 3:30 pm.



No comments: