Sunday, May 02, 2004

Kya Tumhe Hai Khabar ?

Pyar mein rang kar tere, cchai hai bahar,
Ke holi bhi mange, mujhse rang udhar,
Kaisa hai cchaya nasha, kaisa hai chadha rang,
Na hum hein bheege, na humne pee hai bhang.

Janaza nikla armaano ka, to mar se gaye hum,
Phir bhi hein zinda, shayad baaki hai sehna kuch gham.

Kya tumhein hai khabar, deewane hein iss kadar,
Tumse hi hoti shyam, tumse hi ho sahar,
Khayalon mein bhi tu, tu hi aaye nazar,
Teri har ada ne kiya, jaane dil pe kya asar,
Tere ishq mein tadpein itna, ke mar bhi jayein agar,
Bas yahi gham rahega, kya tumhein thi khabar.

Kuch purani yaadon ke sukhe patte bikhre pade hein zindagi ki cchaon mein,
Intezaar hai uss hawa ka jo aakar ise uda le jaaye.

Aapki naadaniyon par har baar hum chup rahe hein,
Chaha bolna iss baar to aadat se apni majboor huwe hein,
Ab sochte hein ki aapki ghaltiyon ko aapki aadat samjhenge,
Aur iss baar ki tarah har baar chup rahenge.

Hum karte gaye maaf aur aap bhulte gaye apni khata,
Ab kehto ho ki tumari hi galti tum hi bewafa.